Sunday, May 02, 2010

maazi ke aaine mein dekha yunhi
aks mein jaane kaun ajnabi tha
paas aaya, muskuraaya aur bola
"pehchaana mujhe?
Kabhi tum mai hua kartey thei"

Wednesday, November 04, 2009

teri aankhon ke raaste se guzar kar
kahin kho chuka hun main,
thaam lo mujhko ki tum mein sama kar
khud ko bhula chuka hun main,
nahin dekhti ruh ki kya hai pehrahan uska
aaine mai tumko hee dekhta hun main
hai khil rahi kokh mohabbat ki
tumhi se hi lo abb janma hun main

Wednesday, February 25, 2009

(A friend complained as I was not going to attend her marriage so following shayari came out during conversation.)

Majboor hun halaat se varna kya tha mere dost
Tere liye toh jaan bhi dete mere dost.
Tu hai ik tukda iss chote se dil ka mere dost
Hai naginaa tu pyar ka aye mere dost.

*********************************************

(A friend asked for another shair after i had finished telling her one above. So said the following four lines)

Meri dukaan mein samaan bahut kam hai
Iss dimaag ke khet ki upajh bahut kam hai
kabhi kabhi hee nikalte hai nagine aise koi
varna kuch likhen iski hasiyat zara kam hai