Bhuje bhuje se mere sarkaar nazar aate hai
Kisi baat se udhaas, pareshaan nazar aate hai
Koi kahe unse ke aaina dekh lein woh
Phir dekhiye kitne kushgawaar, mausam nazar aate hai
Ke Aati hai murdon mein jaan, jab woh muskuraate hai
Ke Aati hai patjhad mein bahaar, jab woh sharmaate hai
Hai saadgi mein unki khoobsoorti woh
chand, falak, taare sab muh chupa, sharmaa jaate hai
Kushnaseeb hai woh, inke dil mein jo jagah paate hai
Jaane kis fariyaad ka samar, khuda se paate hai
Hum tho yun khoye rehte hai unke husn mein
Duniya, Khuda, fariyaad kambakht! sabb bhool jaate hai.