Monday, May 03, 2010

Ye wohi hai jo na tha kabhi
kabhi hota toh ye na hota
abb jo hai toh sochte hai
jo ye hai toh kya hua?

pathar mein doondte hai khuda
jahaan insaan kabka pathar hua
abb jo dil aaina hain koi
kaho woh khuda kyun na hua?

Sunday, May 02, 2010

maazi ke aaine mein dekha yunhi
aks mein jaane kaun ajnabi tha
paas aaya, muskuraaya aur bola
"pehchaana mujhe?
Kabhi tum mai hua kartey thei"