Monday, August 13, 2007

Intezaar

Hai girebaan takk pahunchne ke unki koshish
Dekhein kitna nazdeek hum jaate hai.

Hai qatl karne ki hume unke nighahon ne thaani
Dekhein kitni der aur nazar milate hai.

Hai pareshan woh hamari fursat-e-hastee ko dekhkar
Dekhen kitne saal aur hum jee jalate hai.

Hai muflisi mein kati ye shaam-e-betaab ki
Dekhein kitne sadiyaan aur subah na aati hai.

2 comments:

Akanksha Rajput said...

One word- Wonderful. It's like looking in the eye of the beast... courtesy the movie "300"

Unknown said...

hmmmmm......... Aji arj hai:

JAb Rula lete hain g bharke hamein, jab sata lete hain g bharke hamein, tab kahin khush wo jra hote hain, aur kya ahd-e-wafa hote hain, log milte hain juda hote hain........

wo alag baat hai ki jo aate hain wo bhi jhakham kuredne hi ate hain..... khyaer... why do u think like this....... not everyone is like this... Kayi log hain Hajur.... jinhe intezaar.. is baat ka bhi hai... ki kab hamare dost.... apni manjil ki uchayi tak pahunchte hain.... samjhe.... hehehe