Friday, August 24, 2007

Kya Hua

Kya hua gar mayoos hai ghum-e-dil
Kahin tho koi chehra hasta hoga.

Kya hua jo sirf kaante hai daaman mein
Kahin tho koi gulshan mehakta hoga.

Kya hua jo sitare chod gaye andheron mein
Kahin tho koi diya roshan hua hoga.

Kya hua jo raahein hai akeli sooni
Kahin tho koi kafila badta hoga.

Kya hua gar jannat naseeb nahi betaab
Kahin tho koi darr khula hoga.

1 comment:

Anonymous said...

wah wah mere bhai...chak de...