Friday, July 13, 2007

Bas Ek Baar

Betaab raaton mein hun mai tanhai se baatein karta
Ke door hua tho kya, tu mere dil mein hai basta
Jis aag mein mai hun usi aag mein hai tu julasta
Phir kyun nahi tere naam se mera naam hai judta?

Din ke ujale mein jab mai kaam mein ulja rehta
Tu zehan ke kone se hai mujhse ye kehta
Tu mere ehsaas ko hai apne pyar se sajaata
Phir kyun nahi tere naam se mera naam hai judta?

Jab maazi ke zakhmo ka hisaab hai mujse hayaat leta
Jab dard ke woh lamhe phir mera dil hai yaad karta
Meri dil se uthi har tees ko tera dil mehsoos karta
Phir kyun nahi tere naam se mera naam hai judta?

Har khushi ka lamha hai adhoora mujhe chod deta
Har muskurahat meri hai ghum judai ka chupata
Meri hassi mein chupa dard sirf tu hee hai jaanta
Phir kyun nahi tere naam se mera naam hai judta?

Akeli rahoon mein hai gul bhi raigistaan dikhta
Tere bin mera jeena hai bekaar lagta
Aa meri zindagi tu mil mujhe, hai mera wajood tarasta
Bas ek baar kehde tere naam se mera naam hai judta.
Bas ek baar.....

2 comments:

Mosh said...

This was "heavy" dude!! :)

Enigma said...

@Mosh... I guess my poems reflect my structure ... :-)))))