Thursday, November 22, 2007

Safed Deewarein

Subah ki kachi dhoop se
Shaam ki thandi hawa takk
Dekhti hai jaane kiski raah?
Dhoondti hai bikhre saamaan mein
Kiska ye ata pata?
Koi bhoola hua aks
Jo ghum hua kahin waqt mein?
Ya phir kahin koi ehsaas
Jo ab tak na chada sooli pe?
Khali khidkiyaan, khali darwaaze
Aur inka saath nibhati ye
Gawah bhi, humraaz bhi
Dost bhi, dushman bhi
Kaisa rishta ajeeb sa ye?
Aur inpe sajane ki koshish
Tasveerein kuch idhar udhar
Bikhre hue alag thalag
Kuch bolti nahi,
koi kahani kehti nahi
Bass ek koshish kuch alag si
Kuch bhi jo dikhe nayi si
Ya phir chupade woh daag purane
Bikhre pade jo iske wajood parr
Saaf dikhai dete hai jo
Meri aankhon mein jeete hai jo
Cheekh cheekh karr karti fariyaadein
Mere ghar ki safed deewarein.

2 comments:

gautam tikoo said...

bautiful !!! :-)

Crimson Feet said...

if its a custom on your blog... then "bautiful!!!" from me too :)

dard ke maare ho mere dost... you are adding a new dimension to my blog world! ;)