Wednesday, November 07, 2007

Rihaai

Khidkiyaan nahi dekhti abb raah meri
Hai darr se naam mitt chuka mera;
Kasm phir milne ki na de mujhe
tera koocha nahi dekhta raasta mera.

Aakhon mein nahi basti soorat meri
In hothon pe nahi rehta abb naam mera;
Mohabbat ka vaasta na de mujhe
ke tera dil nahi raha aaina mera.

Baaton mein nahi woh shiddat purani
Hai hassi mein chuppa ye sach tera;
Rishta raha na koi tera mujhse
hai begaana ho chala aks tera.

Aansuon se nahi likhte kahani
Ke Khungar ho chuka hai dil mera;
Jaa karr diya azaad tujhe mujhse
hai fanaah ho chuka beetab tera.

2 comments:

Unknown said...

WAH WAH.......... aisa bhi ek maukam ata hai sach mein.... log duhayi tab dete hain pyar ki... wafa ki... khud wo bewafa hote hain.... jindagi mein aksar aisa hota hai... jhuth pukar pukar ki kehta hai.. mein hi sach hu.. mein hi sach... kher.. jhuth ko yeh nahi pta hota .. sach se parda to uthna hota hai ek din... sach to sach hai... hamesha nahi chupaya jaa sakta...

Unknown said...

hope we never get 2 c y writing nything like this again... there r loads f ppl who luv u a lot n m jst 1 f them.